Valeinten day manana keisa hai

ic;">

Valeinten day manana keisa hai

ic;">

शनिवार, 27 फ़रवरी 2016

Namaz Na Padhne Ka Nuksan
======================
Jo shaks Namaz padhta rahe, Uske liye Namaz Qayamat Ke din Noor,
Daleel Aur najaat hogi, Aur Jo na padhe uske liye Qayamat ke din Na
Noor hoga or Na Daleel Aur Na hi Najaat. Or Wo Shaks Qayamat K Din
Fir'on, Haman aur Uby bin khalf Ke Saath Hoga.

Note: Fir'on, Haman aur Uby bin khalf ye tino bahut bade gunahgaar
the, Allah ki in par lanat hui hai.

Allah hum sabko 5 time ka namazi bana de. Aameen.

• Namaz
==========================================
Guzar gai Namaz e Fajar or tu sota raha...
Qeemti waqt ko khwabon mein khota raha...

Subha namodaar huyi per tu bedaar na hua...
Umar bhar so ker bhi tu bezaar na hua...

Aai zuhar to tujhe kaam ne uljha diya...
Be Namazi bana ker kitna tujhe phansa diya...

Milega rizq tujhe Namaz k baad bhi...
Palega tera ghar Namaz k baad bhi...

Dekh aa gai Namaz e Asar tawani lekar...
Quwwat hai iss mein tu isse ada ker...

Tandrust hai aaj tu ye shukr ada kerti...
Badan ko apne sajdon ki lazzat diya ker...

Chal diya aftab ab ghuroob hone ko...
Namaz e Maghrib hai ab shuru hone ko...

Khatam ho gaya teri zindagi ka aik or din...
Chala gaya yeh bhi haath se tere Nekiyon bin...

Ab tujhe chahiye rahat sone se pehle...
Eesha parh le apni zindagi khone se pehle...

Paaega sukoon tu Allah ke zikr mein hi...
Milega Qaraar tere dil ko isi fikar mein hi

Namaz Padho, Isse pahle ke hamari namaz padhi jaae.........




• NAMAAZ aur SEHAT
====================
Ek jagah farmaya gaya hai ke namaz mein shifa (cure/ilaaj) hai.

Aaj Medical Research Kehti He Ke Dil Pure Jisam Ko Khoon Supply Karta
He Lekin Dimaag Dil Se Upar Hone Ki Wajah Se Khoon Puri Speed Se
Dimaag Tak Nahi Puhnchta or Ye Kami Dimaag Ki kamzoori or Depression
Ki Wajah Bannti He. Insaan Din Mein Ek Martaba Bhi Aesi Position Mein
Aaye Ke Uska Dimaag Uske Dil Se Niche Ho, Jis Tarah Muslmaan SAJDA
Karte time Khoon Sahi Tarah Se Dimaag Tak Pohunch Jata He, Jis Ki
Wajah Se Khoon Dimaag Ko Taro Taaza Rakhta He, Subhanallah.

Tum Apne Rab Ki Kon-Kon Si Nemato ko jhuthlaoge, Zara Sochiye Jo Banda
Din Me 5 Dafa Allah Ke Samne Jhukta He Uska Dimaag Kitna Fresh or
Tazaa Rehta Hoga.

Allah Hame 5 Waqt Ki Namaaz Ki Pabandi Naseeb Farmaye
AAMIN SUMMA AAMIN


• Namaz Padhne Ke Faide
====================
1.Chehre ki Nooraniat
2.DiL ka Noor.
3.Jism ki Raahat
4.Qabar main Saathi.
5.Nuzool-e-Rehmat ka zarya.
6.Aasmano ki Chaabi.
7.Meezaan-e-hisab ka Wazan
8.ALLAH ki Raza.
9.Janat ki Qeemat.
10.Aag se Bachao ka zarya.
11.Rizq mein barkt !

Allah hum sabko 5 time ka namazi bana de, aameen.



• Namaz
---------------------------
Kal Fursat Na Mili To Kya Karoge?
Itni Mohlat Na Mili To Kya Karoge?
ROz Kehte Ho Kal se Padhenge "NAMAZ"
Kal Aankhe Na Khuli To Kya Karoge????
bhaiyo-bahno 'Kal' ki baat shaitan ka behkawa hai, isliye aaj se hi
namaz shuru kariye. Namaz Padhiye isse pahle ke aapki namaz padhi
jaae. Allah hum sabko 5 time ki namaz padhne ki taufik ata kare,
aameen.


• Namaz Na Padhne Ka Gunah
======================
Be-namazi ko qabar mein kuch saza di jaati hai jinme se kuch ye hain
1) us ki kabar ko itna chhota kar diya jaaega ke usku pasliyaan ek
dusre par chadh jayengi.
2)us ki kabar mein aag bhadka di jayegi phir wo aag ke angaro me lotta rahega,
,
3) kabar mein us par ek saanp jiska naam 'ash-shujaul-akraha' hai
tenaat kar diya jayega. us saanp ki aakhe aag ki hongi aur nakhoon
lohe ke, jiski lambai ek mahine ke safar ke barabar hogi. jab bhi wo
be namazi ko marega to wo 70 haat tak zamin me dhas jayega aur
be-namazi par qayamat tak is tarah ka azab hota rahega.
ya ALLAH hume panchoo waqt ka nemazii bana ...
AAMEEN YA RABBUL ALAMEEN




• Mardo Ka Namaz Ke Liye Masjid Jaane Ka Sawab
========================
Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaiyhi Wa Sallam) Ne Farmaya:
“Namaz Ba-Jamaat Ke Liye Masjid Me Janewale Ka Har Qadam
Ek Neki Ko Wajib Karta Hai Aur Ek Gunaah Ko Mitata Hai”.

(Reference: Ibne Habban)



• Namaz Mein Dhyan Rakhne Waali Baat
=====================
Jab kabhi jamat se namaz padh rahe hon to is baat ka khyal rakhe ke
jab Imam 'Allahu Akbar' keh chuke to uske baad hi hum bhi 'Allahu
Akbar' keh kar apne dono haatho ko uthaen, bahut si jagah imam sahab
'Allahu Akbar' thoda kheech kar lamba bolte hain aur bahut se unnke
Allah Akbar kahne se pahle hi niyat baandh lete hain, agar kisi ne
imam se pahle niyat baandh li to uski namaz na hogi.
Isi tarah jab imaam sahab salam ferte hain to bhi is baat ka khyal
rakhe ke imam sahab ke 'Assalamu Alykum wa Rahamatullah' pura bol lene
ke baad hi salam fere, kyonke bahut se imam Assalamu Alykum wa
Rahamatullah' thoda lamba kheech kar bolte hain aur bahut se log unke
salam ferne se pahle hi salam fer dete hain, jo imam se pahle salam
fer dega uski bhi namaz na hogi.
Isliye niyat baandhne aur salam ferne mein thoda dhyan rakhe,

Wese bhi namaz mein har rukn imam ke baad hi ada hona chahiye.


• Yaad Rakho
======================
(1) WUZU Jawaano ki Taraah karo
(yaani wuzu jaldi karo (lekin iska khyal rakho ki koi hissa sukha na
rah jaaye, aur zyada paani mat bahao, kam se kam paani istemaal karo)

(2) NAMAAZ budho ki tarah padho
(yaani namaz ko aaram aur sukun se padho, jaldi-jaldi namaz na padho)

(3) DUAA Bachcho ki Taraah Maango
(Yaani baccha kese apni zid puri karwane ke liye rota hai, haath-per
patakta hai, gid-gidata hai, thik wese hi Allah se khoob ro-ro kar dua
maango, Allah zaruru sunega.

Allah humko in sab baato par amal karne wala bana de.
Aameen.


• Masjid Mein Bethe-Bethe Sawab Kese Kamaen
================================
Jab bhi Masjid mein daakhil hon to Aetekaaf (ऐतेकाफ) ki niyat kar len.
Ye aetekaaf nafli hoga, Aetekaaf ki niyat karne se aap jab tak Masjid
ke andar rahoge, farishte aapki nekiya likhte rahenge, chahe aap
ibadat kar rahe ho ya nahi.
Nafli aetekaaf ki dua ye hai
"NAWAYTUL I`TIKAFA MA DUMTU FIL MASJID"
Aur Masjid se bahar nikloge to Aetekaaf apne aap hi khatm ho jaega.
Agar din mein 10 baar bhi masjid mein ja rahe ho to 10 baar iski niyat
kar len, Allah iska sawab dega. Aur 5 hrs. ke liye bhi masjid mein ja
rahe ho ya 5 minute ke liye to bhi aetekaaf ki niyat kar lijiye.

Allah hum sabko amal ki taufik ata kare Aameen.



Namaz Padhne Ke Faide
Aur Na Padhne Ke Nuksaan
======================
Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya,
“Jo Shaks Namaz Pabandi Se padhta hai to Ye Uss Ke Liye Qayamat Ke Din
Noor Hogi, (Iss Ke Imaan Aur Allah Se Iski Wafadari Ki) Daleel Hogi,
Aur (Jahannam/hell Se) bachne ki wajah hogi Aur Jo Shaks Namaz Ki
Pabandi Nahi Karega To Namaz Uss Ke Liye Roshni, Daleel Aur dozakh se
bachne Ka Sabab Nahi Banegi Aur Wo Qayamat Ke Din Qaroon, Hamaan Aur
Obai Bin Khalaf (Allah ke bahut bade na-farmaan) Ke Saath Hoga”.
-:(Ahmed : Hadees No-6576)

Allah hum sabko namazi bana de, aameen.


• Namaz Se Kya Khoya, Kya Payaa
===========================
Ek baar ek aadmi ne ek namazi se pucha ke tumne apni poori zindagi
namaaz padhke kya paa liya ?
Namazi ne jawab diya,maine kya paaya wo to Allah behtar jaanta hai
lekin maine kuch cheeze zaroor khoyi hai
Mera ghussa
Mera ghamand
Meri lalach
Meri udasi (sadness)
Meri sari fikar
Aur maut ka darr

Allah hum sabko ko namazi bana de, Aameen .

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें